Me in Amrica – By Reshma Ghouri
Na Idhar ke Rahe …
Na Udhar ke Rahe...Beech adhar atke rahe…
Na Hyderabad ku bhula sake
Na Amrica ku apna sakeHyderabadi-Amrican ban’ke kaam chalate rahe
Na Urdu ku chod sake
Na Angrezi ku pakad sakeDesi accent mein goron ku confuse karte chale
Na Turkey ku paka sake
Na gravy bana sakeMurgi ku dam de ke thanksgiving manate chale
Na Christmas tree laga sake
Na bacchon ku samjha sakeEid par Santa banke tohfe bat-te chale
Na shorts pahen sake
Na shalwar chod sakeJeans pe kurta aur sneakers chadake itraate chale
Na, Nashte mein donut kha sake
Na khichdi khatta bhula sakePizza par mirchi chidakkar maza lete rahe
Na garmiyon ku bhula sake
Na baraf ku apna sakeKhidke se suraj ku dekhke ‘beautiful day’ kahte rahe
Ab ayi baari Hyderabad ku jane ki……toh..
Haath mein paani ka sheesha lekar chaleLekin wahan par...
Na gupchup kha sake
Na lassi pee sakePeth ke darad se tadapte mare…
Gullathi kha ke kaam chalate rahe..
Na macchar se bhaag sake
Na khujli ku rok sakeCream se dadodon ku chupate chale
Na fakiron se bach sake
Na dollar ku chupa sake
Naukaron se bi peecha chuda kar bhaagte rahe…
Na khuddi par baith sake
Na Kamot ku bhool sakeBas beech adhar jhukke kaam chalate rahe….
Na idhar ke rahe…
Na udhar ke rahe…
Kambaqt, kahin ke Na rahe
Bas ‘ABCD’ aulaad ko aur confuse banate chale…
Never laugh so much - very well written...
ReplyDeleteAuto ka sher:
ReplyDeleteJab chalti hai auto
tho udthi hai dhool
Hasina ke baalon mein
gulab ka phool
Kya baat hai bhai.....auto pakdo aur face book jin karo...half return for Hyderabadis.
DeleteKya baat hai bhai.....auto pakdo aur face book jin karo...half return for Hyderabadis.
DeleteConversation between Cab co. boss and the Driver employee in Nampally:
ReplyDeleteBoss: Arrey One-Tup (the guy has a limp) kaan jara re?
Driver: Out aff jarun saab. (meaning out of the city)
Boss: Ziyada laang (long drive) pe math ja, dusre giraack ku uthana hai. Abbey tu diffrential ka kaam karaya, road chaabri na gaadi.
Nothing Funny & Nothing Creative here... those
ReplyDeletewho find it funny are sick!
This is a BUcKWAS written by those...
Who either are stuck where they are and could not
come to America or Fully Westernized by western
culture living where they are in their own branded
culture and hating NRIs Who fell short of adjusting
well due to attachment to the culture they left behind
to follow their dreams.
Did she write this poem hanging in the middle or well
grounded in India or well grounded in America?
You don't have to respond...
Just Curious so asked.
It is just an opinion... could not resist but respond...
written sitting on કોમોડ (COMMODE) in USA.
To Mrs. Ghouri - please either write this in English
or in Hindi - do not torture people... with your HINglish!
It looks like you could do neither!
Please forgive me if I offended anyone. Nothing personal.
Get well soon so you can write better!
Pass the response to the great Heydrabadi
Mrs. Reshma Ghouri whoever can!
Bhai 'Literature Lover'
DeleteMohtarma Ghouri ki baat par aap ghaur farmaaein. Jo kuch unhoN ne tahreer kiya hai ye unke ehsaasaat haiN. Aapse kisne kaha ke aap isko Ghazal ya Nazm samajh kar paDheiN. Aap isko azad Nazm ya Nasr samajh kar paDhiye, zaroor lutf aaeiga.
Yeh kaun kahta hai ke 'Hinglish' meiN sheir nahiN kahe jaate. Hinglish meiN bhi ashaar kahe jaate haiN, Dilawar Figar Sahab aur chand deegar Shoara ne bhi ismeiN taba aazmaai ki hai. Eik Shayer ka kalaam namoone ke taur par haazir hai:
Mere dil meiN hai darling badi acoommodation
Tum rah sakte ho yahaN without hesitation
Na deina rent ki pyaare single paai
NahiN mileiga cheaper, kar lo iss se try
Mere armanoN ki seij pa cHadh ke sona
Subho uthkar Palmolive se mukhda dhona
KarooNga water nainoN se supply
NahiN mileiga cheaper, kar lo iss se try.
Bhai, kisi ki dil shikni achchi baat nahiN,
wo bhi sinf e nazuk ki.
karz itna waha(hyderabad) ka na ghar jaasake.
ReplyDeleteKaun yaha dekhta bolke na kapde sila sake.
Ghante pe kaam karke baheno ki shaadi ki,
Phir aur qarze badgaye, shaadi main nahi ja sake.
ab jaana socha tou bawa ka heart attack aur amma ka dilasous
yeh sab kharche uttha te uttha te nahi jaa sake.
Really Good Poetry Bye The Way You Are Hyderabadi ? Me Too
ReplyDelete